Pipe kitne prakar ke hite hai

1) पाईप कितने प्रकार के होते है ?
           पाईप (10) प्रकार के होते है
1) PVC - POLY VINLY CHOLORIDE
2) CPVC - CLORINETED POLY VINLY CHOLORIDE
3) UPVC - UNPLASTICK POLY VINLY CHOLORIDE
4) SWR - SOIL WEST RAIN WATER
5) PPR - POLY PROPOLIN RENDOMKOPOLY
6) KEETAK
7) GI - GLOBONIGE IRON
8) CI - COST IRON PIPE
9) SW - STON WEAR PIPE
10) SCI - SENT COST IRON

1) PVC - Yaha pipe bhura rang ka hota hai. Yah pipe me kachra pani ke liye upyog kiya jata hai. Yaha pipe (Swa intch) se lekar 6"tak ka pipe hota hai.

2) CPVC - Yaha pipe pila rang ka hota hai. Is pipe me garam our thanda pine ke liye dono pani me is pipe ka upyog kiya jata hai.
Yaha pipe (Haf Intch) se lekar 2" tak suflay pani me upyog kiya jata he.
Yah pipe plastic ka hota hai.

3) UPVC - Yaha pipe safed rang ka hota hai. Is pipe me kewal thanda ( Cold) Pani ka upyog kiya jata hai.
Yah pipe (Haf Intch) se lekar 2 Intch tak ka saplay pani ke liye upyog hota hai.

4) SWR - Yah pipe cala rang ka hota hai. Yah pipe kachra pani ko bahar nikalne ke liye upyog kiya jata hai.
Yah pipe 3 Intch se lekar 6 Intch tak ka hota hai yah pipe plastick ka hota hai.

5) PPR - Yah pipe Hara rang ka hota hai is pipe me kewal thanda pani ke liye upyog kiya jata hai. Yah pipe ÷Haf Intch) se lekar 2 Intch tak ka safly pani me upyog kiya jata hai.

6) Keetak -Yah pipe elumoniyam ka bana hota hai iske upar plastick ka kala cover laga hota hai. Is pipe me Thanda(Cold) our Garam(Hot) Dono pani me is pipe ka upyog kiya jata hai. Yah pipe (Haf Intch) Se lekar (der Intch) tak ka safly pani me upyog kiya jata hai. Yah pipe elumoniyam iur plastic ka bana hota hai.
Is pipe ko katne ke liye pipe cutter ka upyog kiya jata hai. Yah pipe mulayam hota hai ise morne ke liye spring ka upyog kiya jata hai kyoki aagar spring ka sahara nahi le e par yah pipe kahi se bhi tut sakta bai.

7) GI - Yah pipe lohe ka bana hota hai is pipe me thanda our garam dono pani ka upyog kiya jata hai. Yah pipe (Haf Intch) se lekar (3 Intch) ka safly pani ka hota hai.
GI Pipe 3 prakar ka hota hai.
1) Jo pipe pila rang ka hota hai uh pipe halka hota hai usa upyog kheto me ya dharmasala (gram panchayat) me upyog kiya jata hi.
2) Jo pipe blu rang ka hota hai uh pipe midum pipe hota hai is pipe ka upyog ghar ya apartment me hota hai.
3) Jo pipe lal rang ka hota hai uh pipe hard hota hai is Pape ka upyog fectary our fire wale upyog karte hai.

8) CI - Yah pipe lohe our bunda ka bana hota hai. Is pipe me sufly our kachra dono pani ka upyog kiya jata hai. Yah pipe (Haf Intch) se lekar (6 Intch) Tak ka upyog kiya jata hai. Yah pipe lohe ka bana hota hai.

9) SW - Yah pipe mitti ka bana hota hai. Is pipe me kewal kachra pani nikalne ke liye upyog kiya jata hai. Yah pipe (4 Intch) Se lekar (6 Intch) ka hota hai. Is pipe ka lambai 2 feet se lekar 3 feet lagbhag hota hai.

10) SCI - Yah pipe pital ka bana hoya hai. Is pipe me thanda our garam dono pani ke liye is pipe ka upyog kiya jata hai. Yah pipe (Haf Intch) se lekar (1 Intch) tak ka safly pani ke liye upyog kiya jata hai. Is pipe ko ek pipe se dusre pipe me jorne ke liye kopling our dono taraf se bolt laga kar kasa jata hai.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Plumber kya hai

Type of plumber